Monday, March 24, 2014

Kejri Song : Meri Marzi, Mein Chahe Ye Karun, Mein Chahe Wo Karun


(It is just parody of original song  from movie Gambler, lyrics by my friend Vinay Dave and sung by Devang Patel.)
Meri Marzi
Main Chahe Ye Karu Main Chahe Woh Karu
Main Chahe Yaha Jaau Main Chahe Waha Jaau
Modi Ko Main Kahu Bhrastachari Mujse To Sheela Haari
Rahul Ko Main Bolu Bhaiya Sonia Ko Mein Bolu Maiyya
Mere Baare Mein Kuch Kehna Nahi
Chupchaap Baithe Raho Bolna Nahi
Mujhe Samajhana Mat Jhooth Sahi
Chahe Pee Jaau Main Chaay Kaafi Daal Ke Dahi
Meri Marzi ..

Har Chauraahe Par Main Jhadoo Lagawaun
News Paper Kaat Ke Apna Suit Main Banawau
Hospital Mein Jaake Main Zoron Se Chillaau
Rahul Ko God Mein Leke Lori Sunaau
Punya Prasoon Se Setting Kar Ke Media Ko Khari Khoti sunau
Aalu Tamatar Ko Maaru Criket Ke Shot
Sadak Pe Mein Dharne Karoo Pehanke Aam Aadmi Topi
Badi Laactari Lage Kabhi To Rakhu Surat Roti
Mujhe Ab Roko Nahi Mujhe Ab Toko Nahi
Mera Kaha Sun Ke Tum Aaise Ab Chaunko Nahi

Nakli Khansi Kha Kha Ke Khub Chillau Karun Main Shor
AAPnewale Ko Chhod mein baki sab Ko Kahu Chor
Paani Ka Daam Badhaun Main Muft Mein Bechu Tel
Kankar Patthar Dhool Daalkar Sabko De Du Bhel
Main Chahe Ye Karu ...

Main Wagon R Ko Chood Jet Plane Se Jaau Meri Marzi
Main Apne Shoe Ki Lace Bandhawaau Meri Marzi
Main 10 Room Wala Duplex Mangu Meri Marzi
Aadhi Raat Ko Mahilaon Ko Pareshan Karun
Janta Aaye To Terrace Pe Chad Jaun
Bete Ko Main Baap Kah Du Congress Ko AAP
Roz Savere Uthake Chillau BJP Tun Bhaag
Sar Pe Topi Pehnke Sab Ko Pehnaun Topi
Mujhe Ab Roko Nahi ... 

1 comment: